Aish Dehlvi

dost jab dil sa aashna hi nahin

Aish Dehlvi

Delhi, India

1779-1879
dost jab dil sā āshnā hī nahīñ
ab hameñ ġhair kā gila hī nahīñ
jis kā dil dard-āshnā hī nahīñ
us ke jiine kā kuchh mazā hī nahīñ
ek dam ham se vo judā hī nahīñ
gar judā ho to vo ḳhudā hī nahīñ
āshnā.ī pe us kī mat jaanā
le ke dil phir vo āshnā hī nahīñ
ḳhaak chhānī jahān kī lekin
dil-e-gum-gashta kā patā hī nahīñ
laakh māshūq haiñ jahāñ meñ magar
aah vo naaz vo adā hī nahīñ
sa.i-e-be-fā.eda hai chāragaro
maraz-e-ishq kī davā hī nahīñ
dard-e-dil un se ham kahā hī kiye
par unhoñ ne kabhī sunā hī nahīñ
sar phirātā hai kyuuñ abas nāseh
merā kahne meñ dil rahā hī nahīñ
ab vo aa.e to aa.eñ kyā hāsil
tāqat-e-arz-e-mudda.ā hī nahīñ
maiñ to kyā gosh-e-charḳh ne bhī 'aish'
aisā bedād-gar sunā hī nahīñ
Top Urdushayar.com