Aish Dehlvi

phul allah ne banae hain mahakne ke liye

Aish Dehlvi

Delhi, India

1779-1879
phuul allāh ne banā.e haiñ mahakne ke liye
aur bulbul ko banāyā hai chahakne ke liye
ātish-e-ġham se banāyā hai mire siine meñ
dil ko añgāre kī mānind dahakne ke liye
bache kam-baḳht vo dil kyūñki bhalā jis dil ke
musta.id ho nigah-e-shoḳh uchakne ke liye
rind kahte haiñ ki ḳhāliq ne kiyā hai paidā
raat din nāseh-e-behūda ko bakne ke liye
rahm ai chashm banāyā hai kahīñ kyā dil ko
qatra-e-ashk ho mizhgāñ se Tapakne ke liye
shaiḳh ko rindoñ se kah do ki nazar meñ rakkheñ
kyūñki ab DhūñDe hai qaabū vo khisakne ke liye
'aish' batlā to banā hai dil-e-hairāñ terā
misl-e-ā.īna ye kis shakl ke takne ke liye
Top Urdushayar.com