bāteñ na kis ne ham ko kahīñ tere vāste
aur ham ne bhī na kis kī sahīñ tere vāste
hairān dar-ba-dar paḌe phirte haiñ raat din
ḳhurshīd o maah zohra-jabīñ tere vāste
sīmāb o barq o shola-e-javvāla aur ye dil
betāb un meñ kaun nahīñ tere vāste
ham ne tirī talāsh meñ ai barq-vash kiyā
yaañ ek āsmān o zamīñ tere vāste
shab soz-e-ġham se sham.a-sifat be-qarāriyāñ
kyā kyā na mere dil ko rahīñ tere vāste
tū zeb-e-bazm-e-ġhair rahā aur maiñ yahāñ
bhaTkā phirā kahīñ kā kahīñ tere vāste
ye naale vo haiñ yaad rahe tū na gar milā
pahuñcheñge tā-ba arsh-e-barīñ tere vāste
kuchh aur iḳhtilāf kā baa.is nahīñ faqat
aalam meñ hai chunāñ-o-chunīñ tere vāste
fazl-e-ḳhudā se yaad rahe 'aish' nemateñ
maujūd hoñgī dekh yahīñ tere vāste