jis dil meñ tirī zulf kā saudā nahīñ hotā
vo dil nahīñ hotā nahīñ hotā nahīñ hotā
āshiq jise kahte haiñ vo paidā nahīñ hotā
aur ho.e bhī bil-farz to mujh sā nahīñ hotā
jo kushta-e-teġh-e-nigah-e-yār haiñ un par
kuchh kārgar ejāz-e-masīhā nahīñ hotā
maanā ki sitam karte haiñ ma.ashūq magar aap
jo mujh pe ravā rakhte haiñ aisā nahīñ hotā
jo mast hai saaqī nigah-e-mast kā vo tū
minnat-kash-e-jām-o-mai-o-mīnā nahīñ hotā
kahtā hai koī sho.ala-e-javvāla koī barq
is dil pe gumāñ logoñ ko kyā kyā nahīñ hotā
zāhid ho do-chār-e-nigah-e-mast to dekheñ
ālūda ba-mai kyūñki musallā nahīñ hotā
haañ kuchh to bayān-e-havas-e-dil meñ hai lazzat
jo lab se judā harf-e-tamannā nahīñ hotā
taskīn-e-dil-e-soḳhta-e-shamm.a kī ḳhātir
kis shab par-e-parvāna se pañkhā nahīñ hotā
dil ishq ne itnā bhī na chhoḌā ki jo kahveñ
taqsīm juz-e-lā-yatajazzā nahīñ hotā
de baiThe ho dil 'aish' tum un logoñ ko jin kī
bedād kā vaañ bhī koī shunvā nahīñ hotā