Aish Dehlvi

mera shikwa teri mahfil mein adu karte hain

Aish Dehlvi

Delhi, India

1779-1879
merā shikva tirī mahfil meñ adū karte haiñ
us pe bhī sabr ham ai arbada-jū karte haiñ
mashq-e-bedād-o-sitam karte haiñ gar vo to yahāñ
ham bhī bedād o sitam sahne kī ḳhū karte haiñ
jaañ huī hai nigah-e-nām pe un kī āshiq
chaak dil tār-e-nazar se jo rafū karte haiñ
be-sabātī chaman-e-dahr kī hai jin pe khulī
havas-e-rañg na vo ḳhvāhish-e-bū karte haiñ
aaj shamshīr ba-kaf nikle haiñ vo dekhiye tar
āb-e-shamshīr se kis kis ke gulū karte haiñ
hai rachī jin ke dimāġhoñ meñ tirī zulf kī bū
ambar o mushk kī kab bū ko vo bū karte haiñ
mushk o ambar kā unheñ naam bhī lenā hai nañg
yaar kī zulf-e-mo.ambar ko jo bū karte haiñ
chaak karte haiñ garebāñ ko vahshat meñ kabhī
chāk-e-dil meñ kabhū nāḳhun ko farū karte haiñ
dekh saudā-zada-e-ulfat-e-ḳhūbāñ ai 'aish'
vādi-e-ishq meñ kyā kyā tag-o-pū karte haiñ
Top Urdushayar.com