kisī kī nek ho yā bad jahāñ meñ ḳhū nahīñ chhuptī
chhupā.e laakh ḳhushbū yā koī badbū nahīñ chhuptī
zabāñ par jab talak aatī nahīñ albatta chhuptī hai
zabāñ par jab ki aa.ī baat ai gul-rū nahīñ chhuptī
yahāñ to tujh ko sau parde lage haiñ ahl-e-taqvā se
bhalā rindoñ se kyuuñ ai duḳhtar-e-raz tū nahīñ chhuptī
salīqa kyā kare is meñ koī betābi-e-jāñ ko
chhupāo sau tarah jab dil ho be-qābū nahīñ chhuptī
hijāb us meñ kahāñ hai be-hijābī jis kī aadat ho
chhupā kar laakh piive gar koī daarū nahīñ chhuptī
ruḳh-e-raushan ko tum kyuuñ chhoḌ kar zulfeñ chhupāte ho
chamak ruḳh kī chhupā.e se tah-e-gesū nahīñ chhuptī
ye riish o jubba o dastār zāhid kī banāvaT hai
tabī.at be-takalluf jis kī ho yaksū nahīñ chhuptī
kalām apnā abas tū ahl-e-dānish se chhupātā hai
jahāñ meñ 'aish' tarz-e-shā.ir-e-ḳhush-go nahīñ chhuptī