tahajjud meñ vo rañg-o-bū raat bhar
ḳhudā se rahī guftugū raat bhar
jo ḳhvāboñ meñ lahrā.e phūloñ ke jaam
mahakte rahe be-subū raat bhar
huā jo sar-e-shām dil paash paash
kiyā tār-e-ġham se rafū raat bhar
vo tanhā.ī kā ḳhūb-sūrat hujūm
vo mela sar-e-āb-jū raat bhar
chamakte rahe āñsuoñ ke charāġh
kiyā yaad unheñ bā-vazū raat bhar
ye kamre se kaisī mahak aa.ī thī
vahāñ to na the maiñ na tū raat bhar
tumheñ 'nūr' ḳhushbū ne DhūñDā bahut
kahāñ tum rahe ai gurū raat bhar