shāyad koī nigāh kare merī zaat par
dastak to de rahā huuñ dar-e-kā.enāt par
dushman se kah rahā huuñ tirī anjuman kā raaz
yā phuul rakh rahā huuñ maiñ sho.ale ke haat par
apnā bhī qatl ham ne ka.ī Dhañg se kiyā
ab koī chauñktā hī nahīñ hādsāt par
behoshiyoñ ko niiñd se nisbat zarūr hai
kuchh ḳhaar bhī bichhā le ridā-e-hayāt par
ai 'nūr' vo to hukm-e-sazā de ke chal diyā
lafzoñ kā saarā ḳhuun rahā merī zaat par