shauq kī had ko abhī paar kiyā jaanā hai
ā.īne meñ tirā dīdār kiyā jaanā hai
ham tasavvur meñ banā baiThe haiñ ik chāra-gar
ḳhud ko jis ke liye bīmār kiyā jaanā hai
dil to duniyā se nikalne pe hai āmāda magar
ik zarā zehn ko tayyār kiyā jaanā hai
toḌ ke rakh diye baaqī to anā ne saare
but bas ik apnā hī mismār kiyā jaanā hai
dekhnī hai kabhī ā.īne meñ apnī sūrat
ik muḳhālif ko taraf-dār kiyā jaanā hai
mas.ala ye nahīñ ki ishq huā hai ham ko
mas.ala ye hai ki iz.hār kiyā jaanā hai
ḳhvāboñ aur ḳhvāhishoñ kī bātoñ meñ aa kar kab tak
ḳhud ko rusvā sar-e-bāzār kiyā jaanā hai
ek hī baar meñ uktā se ga.e ho jis se
ye tamāshā to ka.ī baar kiyā jaanā hai
kaun paḌhtā hai yahāñ khol ke ab dil kī kitāb
ab to chehre ko hī aḳhbār kiyā jaanā hai