har ek saañs hī ham par harām ho ga.ī hai
ye zindagī to koī intiqām ho ga.ī hai
jab aa.ī maut to rāhat kī saañs lī ham ne
ki saañs lene kī zahmat tamām ho ga.ī hai
kisī se guftugū karne ko jī nahīñ kartā
mirī ḳhamoshī hī merā kalām ho ga.ī hai
parinde hote to Daalī pe lauT bhī jaate
hameñ na yaad dilāo ki shaam ho ga.ī hai
idhar to roz ke marne se hī nahīñ fursat
udhar vo zindagī fursat kā kaam ho ga.ī hai
hazāroñ āñsuoñ ke ba.ad ik zarā sī hañsī
kisī ġharīb kī mehnat kā daam ho ga.ī hai
banā na paa.ī kabhī ādatoñ ko apnā ġhulām
ye zindagī to ḳhud un kī ġhulām ho ga.ī hai
purānī yādoñ ne jab bhī lagā liyā pherā
is ujḌe dil meñ baḌī dhūm-dhām ho ga.ī hai