Rajesh Reddy

ijazat kam thi jine ki magar mohlat ziyaada thi

Rajesh Reddy

Nagpur, Maharashtra, India

1952
ijāzat kam thī jiine kī magar mohlat ziyāda thī
hamāre paas marne ke liye fursat ziyāda thī
ta.ajjub meñ to paḌtā hī rahā hai ā.īna akasr
magar is baar us kī āñkhoñ meñ hairat ziyāda thī
bulandī ke liye bas apnī hī nazroñ se girnā thā
hamārī kam-nasībī ham meñ kuchh ġhairat ziyāda thī
javāñ hone se pahle hī buḌhāpā aa gayā ham par
hamārī muflisī par umr kī ujlat ziyāda thī
zamāne se alag rah kar bhī maiñ shāmil rahā is meñ
mire inkār meñ iqrār kī niyyat ziyāda thī
mayassar muft meñ the āsmāñ ke chāñd taare tak
zamīñ ke har khilaune kī magar qīmat ziyāda thī
vo dil se kam zabāñ hī se ziyāda baat kartā thā
jabhī us ke yahāñ gahrā.ī kam vus.at ziyāda thī
Top Urdushayar.com