Rajesh Reddy

safar mein ab ke ajab tajraba nikal aaya

Rajesh Reddy

Nagpur, Maharashtra, India

1952
safar meñ ab ke ajab tajraba nikal aayā
bhaTak gayā to nayā rāsta nikal aayā
mere hī naam kī taḳhtī lagī thī jis dar par
vo jab khulā to kisī aur kā nikal aayā
dukhoñ kī jhāḌiyāñ ugtī chalī ga.iiñ dil meñ
har ek jhāḌī se jañgal ghanā nikal aayā
ik aur naam juḌā dushmanoñ ke nāmoñ meñ
ik aur dost mirā ā.īna nikal aayā
kuchh aaj ashkoñ kī lazzat na.ī na.ī sī hai
purāne ġham kā nayā zā.iqa nikal aayā
ye merā aks hai yā aur hai koī mujh meñ
ki jis kā qad mire qad se baḌā nikal aayā
baḌhe kuchh is tarah donoñ hī dostī kī taraf
ki darmiyāñ meñ nayā fāsla nikal aayā
duā salām se aage jo thoḌī baat baḌhī
jo us kā dukh thā vahī dukh mirā nikal aayā
mirī ġhazal meñ kisī bevafā kā zikr na thā
na jaane kaise tirā tazkira nikal aayā
Top Urdushayar.com