kuchh parindoñ ko to bas do chaar daane chāhiyeñ
kuchh ko lekin āsmānoñ ke ḳhazāne chāhiyeñ
dostoñ kā kyā hai vo to yuuñ bhī mil jaate haiñ muft
roz ik sach bol kar dushman kamāne chāhiyeñ
tum haqīqat ko liye baiThe ho to baiThe raho
ye zamāna hai ise har din fasāne chāhiyeñ
roz in āñkhoñ ke sapne TuuT jaate haiñ to kyā
roz in āñkhoñ meñ phir sapne sajāne chāhiyeñ
bār-hā ḳhush ho rahe haiñ kyuuñ inhī bātoñ pe log
bār-hā jin pe unheñ aañsū bahāne chāhiyeñ