din ko din raat ko maiñ raat na likhne pā.ūñ
un kī koshish hai ki hālat na likhne pā.ūñ
hindū ko hindū musalmān ko likkhūñ muslim
kabhī in donoñ ko ik saath na likhne pā.ūñ
bas qalam-band kiye jā.ūñ maiñ un kī har baat
dil se jo uThtī hai vo baat na likhne pā.ūñ
soch to letā huuñ kyā likhnā hai par likhte samay
kāñpte kyuuñ hai mire haath na likhne pā.ūñ
jiit par un kī lagā duuñ maiñ qasīdoñ kī jhaḌī
maat ko un kī magar maat na likhne pā.ūñ
shukr hī shukr likhe jā.ūñ maiñ un ke haq meñ
kabhī un se maiñ shikāyāt na likhne pā.ūñ
apne hoñToñ pe na lā pā.ūñ maiñ apne naale
apnī hī āñkhoñ kī barsāt na likhne pā.ūñ
jin savāloñ se tabassum meñ ḳhalal paḌtā ho
kabhī vo talḳh savālāt na likhne pā.ūñ
ḳhud ko maazī meñ rakhūñ haal meñ rahte hue bhī
na.e vaqtoñ ke ḳhayālāt na likhne pā.ūñ
un kī koshish hai kaleja ho mirā patthar kā
un kī koshish hai maiñ jazbāt na likhne pā.ūñ