ġham ko dil kā qarār kar liyā jaa.e
is ḳhizāñ ko bahār kar liyā jaa.e
phir junūñ ko savār kar liyā jaa.e
ḳhud ko phir taar taar kar liyā jaa.e
zindagī kī kamān se nikle
tiir ko ār-pār kar liyā jaa.e
ḳhud-kushī ko udhār rakhte hue
maut kā intizār kar liyā jaa.e
tajraboñ ko bhulā ke chāhte haiñ
tujh pe phir e'tibār kar liyā jaa.e
ek hī shaḳhs to jahān meñ hai
ḳhud ko bhī gar shumār kar liyā jaa.e
soch kar is jahāñ ke baare meñ
ḳhud ko kyuuñ sharmsār kar liyā jaa.e
ab to lagtā dushmanoñ ko bhī
dostoñ meñ shumār kar liyā jaa.e
ashk āñkhoñ meñ phir umaD aa.e
is nadī ko bhī paar kar liyā jaa.e
patthar auroñ pe ab nahīñ uThte
ḳhud ko hī sañgsār kar liyā jaa.e
sun ke apne zamīr kī āvāz
ḳhud ko kyuuñ sharmsār kar liyā jaa.e