jis ko bhī dekho tire dar kā pata pūchhtā hai
qatra qatre se samundar kā pata pūchhtā hai
DhūñDtā rahtā huuñ ā.īne meñ aksar ḳhud ko
merā bāhar mire andar kā pata pūchhtā hai
ḳhatm hote hī nahīñ sañg kisī din us ke
roz vo ek na.e sar kā pata pūchhtā hai
DhūñDte rahte haiñ sab log lakīroñ meñ jise
vo muqaddar bhī sikandar kā pata pūchhtā hai
muskurāte hue maiñ baat badal detā huuñ
jab koī mujh se mire ghar kā pata pūchhtā hai
dar-o-dīvār haiñ mere ye ġhazal ke misre
kyā suḳhan-var se suḳhan-var kā pata pūchhtā hai