Kishwar Naheed

na koi rabt ba-juz KHamushi o nafrat ke

Kishwar Naheed

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1940
na koī rabt ba-juz ḳhāmushī o nafrat ke
mileñge ab to ḳhulāse yahī mohabbat ke
maiñ qaid-e-jism meñ rusvā tū qaid meñ merī
badan pe daaġh liye qaid-e-be-sa.ūbat ke
ajiib baat girebāñ pe haath un kā hai
jo tosha-gīr-e-tamannā the harf-e-ġhairat ke
bas ab to harf-e-nadāmat ko sabt-e-dā.em de
sabā-sifat the risāle ġham-e-mohabbat ke
duā se tazkiya-e-nafas tak safar hai bahut
libās badloge kitne bhī ab zarūrat ke
siyah safed ke mālik ko farq-e-rañg se kyā
paḌe na us pe bhī sadme kabhī hazīmat ke
zamām-e-kār-e-jahāñ kis ke haath hai yā-rab
badal ga.e haiñ taqāze bhī ādmiyat ke
zamāna darpa-e-āzār hai to kyā 'nāhīd'
bikharte aa.e haiñ motī sadā mashaqqat ke
Top Urdushayar.com