surūr-o-kaif hai kuchh lazzat-e-baqā to nahīñ
ye ibtidā kī haqīqat hai intihā to nahīñ
sitāre tiir nigāhoñ se dekhte kyuuñ haiñ
mirā junūñ koī mere liye balā to nahīñ
fareb khaa.e na kyuuñ kar kisī kā saada dil
zamāna-sāz nigāhoñ se āshnā to nahīñ
kahīñ girī to hai bijlī zarā nazar kiije
kisī ġharīb kī palTī huī duā to nahīñ
hazār baar ḳhizāñ se bahār Takrā.ī
chaman kā raaz magar aaj tak khulā to nahīñ
mizāj-e-husn mukaddar hai kyuuñ ḳhudā jaane
is aa.ine meñ koī baal aa gayā to nahīñ
hujūm-e-nāz meñ jalva-farebiyoñ ke sivā
'kalīm' aur koī hādisa huā to nahīñ