zor-e-bāzū bhī hai aur sāmne naḳhchīr bhī hai
dekhnā ye hai ki tarkash meñ koī tiir bhī hai
kis tarah ishq-e-majāzī ko haqīqī kar luuñ
sāmne tū hai baġhal meñ tirī tasvīr bhī hai
kuchh nahīñ hai tire hāthoñ meñ lakīroñ ke sivā
baat nāseh kī hai lekin ḳhat-e-taqdīr bhī hai
chheḌtī hai mujhe aa aa ke mirī āzādī
go maiñ qaidī huuñ mire paañv meñ zanjīr bhī hai
mere hone kā mire hosh ko ehsās nahīñ
varna jo qatra-e-ḳhūñ hai vo sharar-gīr bhī hai
ahl-e-dil ke liye āzār hai duniyā ko mufīd
aql ik hosh hai aur hosh kī ta.abīr bhī hai
koī samjhe ki na samjhe tire ash.ār 'kalīm'
zor-e-'ġhālib' bhī hai aur dilkashī-e-'mīr' bhī hai