mohabbat meñ na jaañ ko jaañ na dil ko dil samajhte haiñ
use āsāñ banāte haiñ jise mushkil samajhte haiñ
ham apnī zindagānī kī taġhayyur-ḳhez rāhoñ ko
kabhī jaada samajhte haiñ kabhī manzil samajhte haiñ
hamārā maqsad-e-avval hai jazb-e-shauq-o-sar-mastī
yahī vo zindagī hai jis ko ham kāmil samajhte haiñ
tū apne dil kī kamzorī ko samjhā hai na samjhegā
vahī mushkil meñ haiñ mushkil ko jo mushkil samajhte haiñ
'kalīm' ahl-e-takallum kī subuk bātoñ se kyuuñ uljheñ
ham apnī zindagī ko sahl yā mushkil samajhte haiñ