inqilāb-e-dahr ruk ruk kar javāñ bantā gayā
jo subuk-sar thā vahī sañg-e-garāñ bantā gayā
naġhma-e-dil jab baḌhā āh-o-fuġhāñ bantā gayā
āsmāñ ik aur zer-e-āsmāñ bantā gayā
jaane kyā bhar dī haiñ us ne is chaman meñ shoḳhiyāñ
jo bhī aayā vo chaman kā rāz-dāñ bantā gayā
har-nafas ko apnī manzil kā pata miltā nahīñ
jo jahāñ Thahrāv haiñ ik kārvāñ bantā gayā
sard aahoñ kā tasarruf ho to soz-e-dil kahāñ
dil se jo sho.ala uThā vo bhī dhuāñ bantā gayā
be-sabab hotā nahīñ jazbāt-e-dil kā valvala
jis ne samjhā aa.ī apnā rāz-dāñ bantā gayā
kuchh bahāroñ meñ ḳhizāñ hai kuchh ḳhizāñ meñ hai bahār
phuul murjhā.e to ġhuncha gulistāñ bantā gayā
aadmī kī asliyat ko aadmī samjhā nahīñ
ek qatra thā jo bahr-e-be-karāñ bantā gayā
ham to baiThe hī rahe apnī asīrī ko liye
banñe vaalā kaam be-vahm-o-gumāñ bantā gayā
'mīr'-o-'ġhālib' se baḌhe to hazrat-e-iqbāl tak
shaġhl sher-o-shā.erī kā jāvedāñ bantā gayā
dahr meñ ye bhī to haiñ qānūn-e-fitrat ke usuul
jo nazar se gir gayā vo dilsitāñ bantā gayā
barq kī sar-garmiyāñ tasnīm phir bhī ai 'kalīm'
bijliyāñ girtī raheñ aur āshiyāñ bantā gayā