Kaleem Ahmadabadi

teri taskin ka sabab kaun-o-makan hai ki nahin

Kaleem Ahmadabadi

terī taskīñ kā sabab kaun-o-makāñ hai ki nahīñ
rūh-parvar ye jahān-e-guzarāñ hai ki nahīñ
din kī zau-tābiyāñ tārīk fazā.eñ shab kī
pichhlī rātoñ ke dhundalke se ayaañ hai ki nahīñ
nāra-e-dār-o-rasan hādisa-e-kaun-o-makāñ
ḳhufta-jānoñ ke liye ḳhvāb-e-girāñ hai ki nahīñ
ḳhud ḳham-o-pech tujhe raah ke batlā deñge
terī Thokar meñ tirā sūd-o-ziyāñ hai ki nahīñ
terī zulfeñ tirā ruḳh terī jabīñ terī nazar
ye chaman ā.īna-dīda-varāñ hai ki nahīñ
is nazar se vo mujhe dekhte rahte haiñ 'kalīm'
garm ḳhuuñ garm nafas garm-e-fuġhāñ hai ki nahīñ
Top Urdushayar.com