Kaleem Ahmadabadi

buland-o-past haqiqat se aashna na hua

Kaleem Ahmadabadi

buland-o-past haqīqat se āshnā na huā
vo dil ki jis meñ koī harf-e-mudda.ā na huā
vo zinda dil thā maiñ sahtā rahā ġham-e-duniyā
usī meñ jaan dī lekin gurez-pā na huā
chalā jo shab kā musāfir to is adā se chalā
ki jab rukā to dar-e-sub.h rūnumā na huā
tumhīñ batāo ki is dil kā kyā kiyā jaa.e
jo choT khā ke bhī choToñ se āshnā na huā
sitāre toḌ liye ham ne zuhd-o-taqvā ke
magar jo haqq-e-ibādat thā vo adā na huā
chale chalo ki abhī sub.h kī siyāhī hai
sahar qarīb hai taara koī huā na huā
'kalīm' dard-e-mohabbat samajh meñ kyuuñ aa.e
vahī to dard hai jo dard-e-lā-davā na huā
Top Urdushayar.com