Ozair Rahman

haal-e-dil wo puchhne aane lage

Ozair Rahman

Bhagalpur, Bihar, India

1949
hāl-e-dil vo pūchhne aane lage
marne vaale zindagī paane lage
koī batlā.e mile kaise qarār
har taraf jab tum nazar aane lage
chheḌā kyā afsāna tum ne pyaar kā
ham bhī qisse kal ke dohrāne lage
husn kā chāhā raqīboñ se bayāñ
bolte kyā ḳhaak haklāne lage
hai maraz āñkhoñ ko lāhaq jāniye
jab burā.ī bas nazar aane lage
niiñd par bhī lag ga.iiñ pābandiyāñ
jab se ḳhvāboñ meñ huzūr aane lage
rāteñ to ho jaatī thiiñ aksar garāñ
din ke hisse meñ bhī ġham aane lage
ishq hai jānam tijārat ye nahīñ
fā.ede kā kyuuñ ḳhayāl aane lage
shāyad ho jaa.e falak ab mehrbāñ
soch kar ham dil ko bahlāne lage
Top Urdushayar.com