Ozair Rahman

hisab-e-dostan dar-dil nahin ab

Ozair Rahman

Bhagalpur, Bihar, India

1949
hisāb-e-dostāñ dar-dil nahīñ ab
palaTnā bātoñ se mushkil nahīñ ab
kiyā karte the jo jaañ bhī nichhāvar
bharose ke bhī vo qābil nahīñ ab
samundar kī hadeñ baḌhne lagī haiñ
nazar aatā kahīñ sāhil nahīñ ab
rahe the jo sharīk-e-ġham shab-o-roz
ḳhushī dekhī to vo shāmil nahīñ ab
qahr Dhātā rahā jo husn-e-jānāñ
bahut afsos vo qātil nahīñ ab
burā.ī karnā lā-hāsil hai lagtā
suneñ do kaan jo fāzil nahīñ ab
baneñ behtar bhī ab insān kaise
banāne ko vo āb-o-gil nahīñ ab
bhalā tai bhī ho ye rasta to kaise
nigāhoñ meñ koī manzil nahīñ ab
tasāhul chhoḌiye vaqt-e-amal hai
guzar pā.egī yuuñ kāhil nahīñ ab
kareñ kyā zindagī qurbān us par
rahā jo ziist kā hāsil nahīñ ab
Top Urdushayar.com