phir ye kis ne mujhe jagāyā hai
phir se ḳhvāboñ meñ kaun aayā hai
phir se nam ye huiiñ haiñ kyuuñ āñkheñ
phir tumhārā ḳhayāl aayā hai
phir se rūThī hai kyuuñ ye shahnā.ī
phir se mātam kā maah aayā hai
aarzū ho ga.ī hai phir bebāk
phir ḳhabar garm koī laayā hai
phir na.e saal kī hai tayyārī
jashn par goliyoñ kā saayā hai
phir chaman meñ rahegā hañgāma
phir nayā phuul koī aayā hai
phir se bādal haiñ āsmānoñ meñ
abr ummīdeñ le kar aayā hai
phir sazā kā huā hai andesha
mujh ko tanhā.ī meñ bulāyā hai
phir se tārīḳh ban gayā mauzūa
phir se qissa nayā banāyā hai
phaT rahī hai ye phir se dhartī kyuuñ
phir se yazdāñ kā qahr aayā hai
ghar huā hai ḳhudā kā vīrāñ phir
phir se aaseb is pe chhāyā hai
phir se qānūn taaq par rakkhā
phir se dañgā.iyoñ ko laayā hai
dekho to ġhaur se vahī zālim
phir se chehra badal ke aayā hai
phir se chhā.ī hai ek ḳhāmoshī
phir nayā zulm koī Dhāyā hai
phir hai bastī meñ ek bechainī
phir nayā fitna āzmāyā hai
phir se ḳhatra khaḌā hai muñh khole
phir se apnā huā parāyā hai
phir se mandir meñ shañkh phūñke haiñ
phir se gumbad meñ ḳhauf aayā hai
sāzisheñ band hoñ to dam aa.e
phir lage desh lauT aayā hai