mujhe ai zindagī āvāz mat de
nahīñ manzil koī parvāz mat de
jiye jaatā huuñ aadat ban chukī hai
nahīñ sur lagte yārab saaz mat de
nayā hai ruup aalam kā ḳhudāyā
anokhā ab mujhe andāz mat de
natīja jāntā huuñ dil-lagī kā
sazā.eñ fāḳhta ko baaz mat de
pas-e-parda rahā hai bhed ab tak
nahīñ hāmil unheñ tū raaz mat de
rahā anjām hai jinkī nazar meñ
unheñ jo chāhe de āġhāz mat de
nibhāyā farz hī kab hukmarāñ kā
kisī qātil ko tū e.azāz mat de