bedād-e-taġhāful se to baḌhtā nahīñ ġham aur
mere liye sīkho koī andāz-e-sitam aur
maġhmūm to donoñ haiñ magar farq hai itnā
un ko koī ġham aur hai mujh ko koī ġham aur
zāhir meñ jafāoñ pe vo sharminda haiñ lekin
nazreñ yahī kahtī haiñ abhī hoñge sitam aur
har baat meñ karte ho jo tafrīq man-o-tū
is kā to ye matlab huā tum aur ho ham aur