Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi

jine ke agar chand sahaare bhi mile hain

Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1925
jiine ke agar chand sahāre bhī mile haiñ
to jaan se jaane ke ishāre bhī mile haiñ
har chand rah-e-ishq ke ġham saḳht haiñ lekin
is raah ke kuchh ġham hameñ pyāre bhī mile haiñ
kuchh apnī vafāoñ se jo ummīd thī ham ko
kuchh un kī nigāhoñ ke sahāre bhī mile haiñ
ai rāh-rav-e-rāh-e-junūñ bhuul na jaanā
is raah meñ jī jaan se haare bhī mile haiñ
ilzām-e-taġhāful hameñ taslīm hai lekin
badle hue andāz tumhāre bhī mile haiñ
kyā kījiye tadbīr se haarā nahīñ jaatā
go raah meñ taqdīr ke maare bhī mile haiñ
tūfāñ meñ sabhī Duub to jaate nahīñ 'aḳhgar'
kuchh logoñ ko tūfāñ meñ kināre bhī mile haiñ
Top Urdushayar.com