Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi

wo hazar hum pe jafa sahi koi shikwa phir bhi rawa nahin

Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1925
vo hazār ham pe jafā sahī koī shikva phir bhī ravā nahīñ
ki jafā to un kī ḳhatā nahīñ jinheñ koī qadr-e-vafā nahīñ
mirī bad-zanī pe ye ranjisheñ to kisī bhī taur bajā nahīñ
ki jahān-e-ishq meñ bad-zanī to huzūr jurm-o-ḳhatā nahīñ
mire ishq ko tirī be-ruḳhī hī nasīb hai to yahī sahī
tirī be-ruḳhī rahe shādmāñ mujhe be-ruḳhī kā gilā nahīñ
ye ġhalat ki mahfil-e-nāz meñ koī āshnā-e-nazar na thā
koī tum se kah to rahā thā kuchh magar aah tum ne sunā nahīñ
unheñ aur ilm-e-rah-e-vafā ye yaqīñ bhī aa.e to kis tarah
ki unhī ke dāman-e-nāz par kahīñ ḳhāk-e-rāh-e-vafā nahīñ
mire ai dil-e-alam-āshnā kisī vahm meñ na ho mubtalā
tujhe rakh sakeñge vo yaad kyā kabhī jin kā dil hī dukhā nahīñ
ye mah-e-do-hafta kī chāñdnī meñ dil-e-shikasta kī hasrateñ
kabhī mere dil hī se pūchh lo jo tumhāre dil ko patā nahīñ
ye kamāl-e-jazba-o-sar nahīñ tire sañg-e-dar hī kī baat hai
tire ek dar pe jo jhuk gayā vo hazār dar pe jhukā nahīñ
unheñ yuuñ na dar se haTā.iye unheñ kuchh to de ke hī Tāliye
ki vahī ġharīb-e-dayār haiñ vo ġharīb jin kā ḳhudā nahīñ
Top Urdushayar.com