Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi

hangama-e-afat idhar bhi hai udhar bhi

Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1925
hañgāma-e-āfāt idhar bhī hai udhar bhī
barbādī-e-hālāt idhar bhī hai udhar bhī
hoñToñ pe tabassum kabhī palkoñ pe sitāre
ye dil kī karāmāt idhar bhī hai udhar bhī
bechain agar maiñ huuñ to vo bhī haiñ pareshāñ
dar-parda koī baat idhar bhī hai udhar bhī
āshuftagī-e-qalb-o-nazar chhup na sakegī
ik mahshar-e-jazbāt idhar bhī hai udhar bhī
har chand takalluf hai mulāqāt meñ lekin
armān-e-mulāqāt idhar bhī hai udhar bhī
mujrim kise gardāniye kahiye kise ma.asūm
ik sail-e-shikāyāt idhar bhī hai udhar bhī
kyūñkar kabhī niklegī koī sulh kī sūrat
ik talḳhī-e-jazbāt idhar bhī hai udhar bhī
un ko bhī koī rañj hai mujh ko bhī koī ġham
ik fikr sī din raat idhar bhī hai udhar bhī
afsos bharī bazm meñ bhī mil nahīñ sakte
kuchh pās-e-rivāyāt idhar bhī hai udhar bhī
jo tark-e-ta.alluq pe bhī jaatī nahīñ dil se
vo dil kī lagī baat idhar bhī hai udhar bhī
naale bhī sharar-bār haiñ naġhme bhī sharar-bār
ik ātish-e-jazbāt idhar bhī hai udhar bhī
'aḳhgar' hī kā dāman nahīñ namnāk shab-e-ġham
āñkhoñ kī ye barsāt idhar bhī hai udhar bhī
Top Urdushayar.com