junūn-e-ishq kā jo kuchh huā anjām kyā kahiye
kisī se ab ye rūdād-e-dil-e-nākām kyā kahiye
phirī kyuuñ kar nigāh-e-sāqī-e-gulfām kyā kahiye
bharī mahfil meñ asbāb-e-shikast-e-jām kyā kahiye
ye kaisī dil meñ hai ik zulmat-e-be-nām kyā kahiye
bujhā kyuuñ daf.atan az-ḳhud charāġh-e-shām kyā kahiye
taġhāful par vo do harf-e-shikāyat bhī qayāmat the
zamāne bhar ke ham par aa ga.e ilzām kyā kahiye
mirā dard-e-nihāñ bhī aaj rusvā-e-zamāna hai
ik āh-e-zer-e-lab bhī ban ga.ī dushnām kyā kahiye
dar-o-dīvār par chhā.e hue haiñ yaas ke manzar
dayār-e-nāmurādī ke ye sub.h-o-shām kyā kahiye
jahān-e-ārzū bhī rafta rafta ho chalā vīrāñ
ik āġhāz-e-hasīñ kā aah ye anjām kyā kahiye
umīd-o-yās meñ ye roz-o-shab kī kashmakash tauba
ba-har-lamha fareb-e-gardish-e-ayyām kyā kahiye
ye kis ke dar se ta.ane mil rahe haiñ sajda-o-sar ko
ye kis dar par hai zauq-e-bandagī badnām kyā kahiye
kahāñ kā shikva-e-ġham ham to bas shukr-e-sitam karte
magar shukr-e-sitam kā bhī hai jo anjām kyā kahiye
adā-e-bad-gumānī bhī sarisht-e-ishq hai lekin
ye kyuuñ kar ban ga.ī minjumla-e-ilzām kyā kahiye
raheñge hashr tak mamnūn-e-ehsān-e-dil-āzārī
ḳhulūs-e-ishq par ye qīmtī in.aam kyā kahiye
baḌhī jaatī hai ab to aur bhī kuchh dūrī-e-manzil
achānak nau-ba-nau-dushvārī-har-gām kyā kahiye
vo apnī sa.ī-e-tajdīd-e-junūñ bhī rā.egāñ Thahrī
bas ab aage ma.āl-e-hasrat-e-nākām kyā kahiye
na samjhe aaj tak rañg-e-mizāj-e-yār-e-be-parvā
magar phir bhī zabāñ par hai usī kā naam kyā kahiye