Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi

itna bhi nahin karte inkar chale aao

Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1925
itnā bhī nahīñ karte inkār chale aao
sau baar bulāyā hai ik baar chale aao
hoñ fāsle naqshoñ ke yā farq hoñ shahroñ ke
dil se to nahīñ duurī sarkār chale aao
ik muntazir-e-va.ada bedār to hai kab se
ho jaa.e muqaddar bhī bedār chale aao
andesha-e-rusvā.ī kyuuñ raah meñ haa.il ho
kar leñge zamāne ko hamvār chale aao
tā-chand vahī ranjish lillāh idhar dekho
lo jurm kā karte haiñ iqrār chale aao
be-kaifī-e-mausam kā ye uzr hai be-ma.anī
lag jā.eñge phūloñ ke ambār chale aao
is ābla-pā.ī meñ ḳhāroñ kī shikāyat kyā
kuchh ḳhaar bhī haiñ āḳhir haqdār chale aao
jab chal hī paḌe 'aḳhgar' phir fikr koī kaisī
jis tarah bane ab to sarkār chale aao
Top Urdushayar.com