Hasrat Azimabadi

har ghaDi mat ruTh us se pher pal mein mil na ja

Hasrat Azimabadi

Patna, Bihar, India

1727-1795
har ghaḌī mat ruuTh us se pher pal meñ mil na jā
gar bhalā mānas hai us kūche meñ tū ai dil na jā
avval-e-ishq un butoñ kā lutf hai dām-e-fareb
us kī mehr-o-dilbarī par ai dil-e-mā.il na jā
teġh-e-kīñ se ḳhāk-o-ḳhūñ meñ kar liyā haa.e mujhe
raqs-e-bismil kā tamāshā dekh ai qātil na jā
ham-sarī kā us qad-e-mauzūñ se tū da.avā na kar
apnī had se bāhar ai shamshād-e-pādar-gil na jā
ishq ke kū meñ ki hai jā-e-malāmat be-ḳhabar
aanā phir vaañ se salāmat hai bahut mushkil na jā
zāhidā rindoñ kī gustāḳhī ko ḳhātir meñ na lā
ham se dīvānoñ kī bātoñ par tū ai aaqil na jā
haath maltā hī rahā 'hasrat' dil us ko de ke haif
haath se aisī tarah yā-rab kisī kā dil na jā
Top Urdushayar.com