Hasrat Azimabadi

rakha pa jahan mein nagara zamin par

Hasrat Azimabadi

Patna, Bihar, India

1727-1795
rakhā pā jahāñ meñ nagārā zamīñ par
bahut sar ko vaañ ham ne maarā zamīñ par
junūñ josh maare hai dīvār-o-dar se
huā kis parī kā guzārā zamīñ par
nahīñ hai ye āh-e-falak sā ki ham ne
alam shor-e-saudā kā gāḌhā zamīñ par
qadam jis jagah rakkhā us sañg-dil ne
na ho vaañ ba-juz sañg-e-ḳhārā zamīñ par
nazar se tirī jis ne ham ko girāyā
falak se uThā kar ke maarā zamīñ par
tū rū-e-zamīñ dekh le sair ho kar
na hogā guzar phir dobārā zamīñ par
tire naqsh-e-pā ko kahe apnā ham-sar
nahīñ hai ye muñh to hamārā zamīñ par
vo zohra-jabīñ mehrbāñ hove 'hasrat'
kahāñ hai ye apnā sitārā zamīñ par
Top Urdushayar.com