Hasrat Azimabadi

ishq mein gul ke jo nalan bulbul-e-ghamnak hai

Hasrat Azimabadi

Patna, Bihar, India

1727-1795
ishq meñ gul ke jo nālāñ bulbul-e-ġhamnāk hai
gul bhī us ke ġham meñ dekho kiyā garebāñ-chāk hai
dāġh-bar-dāġh ashk-bar-ashk apnī chashm o dil meñ haiñ
kyā balā gul-ḳhez ai yaaro ye musht-e-ḳhāk hai
ai ḳhizar jā.ūñ kahāñ maiñ kūcha-e-mai-ḳhāna chhoḌ
ḳhush-dilī kā maulid o manshā ye ḳhāk-e-pāk hai
ġharq-sar-tā-pā huuñ bahr-e-be-karān-e-ḳhūñ meñ maiñ
āshnā pūchhe hai to ye chashm kyuuñ namnāk hai
sarv kī nisbat se us qadd-e-balā baalā ko kyā
ḳhushk chob-e-pā bigul ye vo qad-e-chālāk hai
haa.e kin āñkhoñ se dekhūñ us ruḳh-e-raushan pe ḳhat
chashma-e-ḳhurshīd meñ ye kyā ḳhas-o-ḳhāshāk hai
kāfir o momin ko riqqat ġham meñ hai 'hasrat' ke haa.e
kuchh ḳhudā kā Dar bhī tujh ko ai but-e-bebāk hai
Top Urdushayar.com