har taraf hai us se mere dil ke lag jaane meñ dhuum
bulbul-o-gul meñ hai chah-chah sham-o-parvāne meñ dhuum
fitna-gar hai nāz-o-ishva us kī chashm-e-shoḳh meñ
juuñ machāveñ pī ke mai badmast mai-ḳhāne meñ dhuum
yaad meñ apnī hai shāyad vo farāmush-kār bhī
dil kare hai mujh se us kī yaad dilvāne meñ dhuum
jis tarah bād-e-ḳhizāñ-dīda meñ aatī hai bahār
shahr meñ hotī hai us ke mere ghar aane meñ dhuum
naubat auroñ kī to ai saaqī subū-pardāz hai
kyā machā.ī hai hamāre ek paimāne meñ dhuum
juuñ bulandī se gire hai ḳhaak par koī za.iif
hai mirī us shoḳh kī nazroñ se gir jaane meñ dhuum
dekh to le ser ho kar tujh ko ye ḳhāna-ḳharāb
aate hī kyā hai tirī itnī bhī ghar jaane meñ dhuum
barhaman hone ko aatā hai nayā shaiḳh aaj kaun
ho rahī hai har taraf 'hasrat' sanam-ḳhāne meñ dhuum