vafā ke haiñ ḳhvān par nivāle ze-a.āb avval do.am ba-ātish
bhare hai saaqī yahāñ pyāle ze-āb avval do.am ba-ātish
chaman meñ josh-e-junūñ ke haiñ ashk aur dāġh-e-darūñ se apne
karūñ shagufta gul aur laale ze-āb avval do.am ba-ātish
hamāre ashk aur aah kī maujeñ bāñdh detī haiñ sab jo duurī
bane haiñ māh-e-falak pe haale ze-āb avval do.am ba-ātish
jahāñ ke sab garm o sard dekhe na zauq hai un meñ kuchh na lazzat
do roz chhātī yahāñ pakāle ze-āb avval do.am ba-ātish
do hukm haiñ shāh-e-ishq ke in meñ ek galnā hai ek jalnā
haiñ daftar-e-dard meñ qabāle ze-āb avval do.am ba-ātish
na khol vaa.iz kitāb-e-dānish ki ātish-e-ishq o āb-e-mai se
dho.ūñ jalā.ūñ tire risāle ze-āb avval do.am ba-ātish
sitam hai aafat hai mahr yā kiiñ balā ye ishq-e-satīza-gar kī
diloñ ke ḳhāne ujaaḌ Daale ze-āb avval do.am ba-ātish
paḌe haiñ ham ḳhūn-e-dil meñ ġhaltāñ jigar hai dāġh-e-jafā se sozāñ
koī hai apne ta.iiñ sambhāle ze-āb avval do.am ba-ātish
visāl kī justujū meñ 'hasrat' chalā na zaarī na zor kā kuchh
bahut se yaañ ham ne Dhab nikāle ze-āb avval do.am ba-ātish