Hasrat Azimabadi

jis ka mayassar na tha bhar ke nazar dekhna

Hasrat Azimabadi

Patna, Bihar, India

1727-1795
jis kā mayassar na thā bhar ke nazar dekhnā
kahtā hai ḳhat aa.e par Tuk to idhar dekhnā
bolā vo hañs ke ki haañ dekhe haiñ tujh se bahut
maiñ jo kahā hai ġharaz mujh ko magar dekhnā
dekhūñ na vo din ki maiñ minnat-e-ehsān luuñ
shaam mirī ai falak ho na sahar dekhnā
roz-e-vidā.a us ko dekh ik do nazar sair ho
dekh le phir ham kahāñ aur kidhar dekhnā
yaar huā be-dimāġh sun mirā shor-e-junūñ
āh-o-fuġhāñ kā mirī yaaro asar dekhnā
jis kī tū dekhe hai raah merī nazar meñ hai ḳhuub
ik dam idhar dekhnā ik dam adhar dekhnā
itnā gayā-guzrā bhī mujh ko na vaañ se samajh
ġhair tū us kūche se phir to guzar dekhnā
ḳhilqat-e-ḳhūbāñ ke biich qubah-e-ḳhudā nikle hai
aib hai use munkiro husn agar dekhnā
dīda-e-bārīk-bīñ rāh-e-adam par ho juuñ
marg pe dil dharnā hai us kī kamar dekhnā
'hasrat' use dil-kushā jaise hai dariyā kī sair
mere lab-e-ḳhushk aur dīda-e-tar dekhnā
Top Urdushayar.com