Hasrat Azimabadi

kab talak hum ko na aawega nazar dekhen to

Hasrat Azimabadi

Patna, Bihar, India

1727-1795
kab talak ham ko na āvegā nazar dekheñ to
kaise tarsātā hai ye dīda-e-tar dekheñ to
ishq meñ us ke ki guzre haiñ sar o jaan se ham
apnī kis taur se hotī hai guzar dekheñ to
kar ke vo jaur-o-sitam hañs ke lagā ye kahne
aah o afġhāñ kā tirī ham bhī asar dekheñ to
sabr ho saktā hai kab ham se vale maslahatan
āzmā.ish dil-e-betāb kī kar dekheñ to
Dhab chaḌhe ho mire tum aaj hī to muddat baad
jā.eñge aap kahāñ aur kidhar dekheñ to
kis dilerī se kare hai tū fidā jaan us par
dil-e-jāñ-bāz tirā ham bhī hunar dekheñ to
kyā majāl apnī jo kuchh kah sakeñ ham tujh se aur
tujh ko bhar kar nazar ai shoḳh pisar dekheñ to
ho chalīñ ḳhīra to aḳhtar-shumarī se āñkheñ
shab hamārī bhī kabhī hogī sahar dekheñ to
ishq ke sadme uThāne nahīñ āsāñ 'hasrat'
kar sake koī hamārā sā jigar dekheñ to
Top Urdushayar.com