Hasrat Azimabadi

azizo tum na kuchh usko kaho hua so hua

Hasrat Azimabadi

Patna, Bihar, India

1727-1795
azīzo tum na kuchh us ko kaho huā so huā
nipaT hī tund hai zālim kī ḳhū huā so huā
ḳhatā se us kī nahīñ naam ko ġhubār-e-malāl
maiñ ro ro Daalā hai sab dil se dho huā so huā
mirī ḳhatā yā jafā thī tirī ye kyā hai zikr
huā jo chāhiye phir to na ho huā so huā
hañse hai dil meñ ye nā-dardmand sab sun sun
to dukh ko ishq ke ai dil na ro huā so huā
sitamgaro jo tumheñ rahm kī ho kuchh taufīq
sitam kī apne talāfī karo huā so huā
tū kaun hai ki ho milne se ġhair kai maan.e
dil us ko haath se apne na kho huā so huā
na sarguzisht mirī pūchh mujh se kuchh ai baḳht
tū apne ḳhvāb-e-farāġhat meñ so huā so huā
mohabbat ek tarah kī nirī samājat hai
maiñ chhoḌūñ huuñ tirī ab justujū huā so huā
bayān-e-hāl se ruktā hai 'hasrat' ab yaaro
na pūchho us se na kuchh tum kaho huā so huā
Top Urdushayar.com