jaan kar kahtā hai ham se apne jaane kī ḳhabar
jī Dubā detī hai merā ye bahāne kī ḳhabar
is chaman meñ kaun hai dil-soz apnā tujh sivā
rakhiyo Tuk ai barq mere āshiyāne kī ḳhabar
pūchhtā niiñ apne kūche meñ tū merā haal haa.e
le thī lailā dasht meñ apne divāne kī ḳhabar
haiñ qafas meñ jab se ham us sañg-dil sayyād ke
ashk hī letā hai merā āb-o-dāne kī ḳhabar
ham na jāneñ kis taraf ka.aba hai aur kīdhar hai dair
ek rahtī hai yahī us dar pe jaane kī ḳhabar
har gul-e-dāġh-e-junūñ par aur hai kuchh āb-o-rañg
pher hai gulshan meñ goyā gul ke aane kī ḳhabar
aaj siine meñ mire dil hai nipaT hī be-qarār
de hai 'hasrat' ġhair ke ghar us ke jaane kī ḳhabar