Hasrat Azimabadi

ek-dam KHushk mera dida-e-tar hai ki nahin

Hasrat Azimabadi

Patna, Bihar, India

1727-1795
ek-dam ḳhushk mirā dīda-e-tar hai ki nahīñ
mājare se mire tujh ko bhī ḳhabar hai ki nahīñ
yuuñ to uThte hai mire dil se hazāroñ naale
lekin in ḳhāna-ḳharāboñ meñ asar hai ki nahīñ
haal merā tujhe be-dard nahīñ gar bāvar
dekh le aa ke ki ab nau-e-digar hai ki nahīñ
mere ghar kyūñki tū aave ki galī-kūchoñ meñ
tere mushtāq kahāñ aur kidhar hai ki nahīñ
tujh meñ bū paa.ī na mutlaq kahīñ jinsiyyat kī
nasl-e-ādam se tū ai shoḳh pisar hai ki nahīñ
bul-havas dil ko kar apne zarā bas meñ 'hasrat'
mard-e-be-sabr tujhe kuchh bhī jigar hai ki nahīñ
Top Urdushayar.com