jo hameñ chāhe us ke chākir haiñ
yār-e-shātir na bār-e-ḳhātir haiñ
yaad hai ham se pyaar se kahnā
tujh se ham sab tarah se hāzir haiñ
dil uThāveñge tujh se tā-maqdūr
sabr karne pe go na qādir haiñ
yaar o āshiq baham muāfiq hoñ
ittifāq aise shāz-o-nādir haiñ
vasl kī bin na aa.ī kuchh tadbīr
ham se kam āshiqoñ meñ bad-bir haiñ
kuchh qusūr apnī bandagī meñ nahīñ
bandagī se agar muqassir haiñ
'hasrat' ishq-e-butāñ se maañg amaañ
jitne haiñ sab ye saḳht kāfir haiñ