Hasrat Azimabadi

ab tujhse phira ye dil-e-nakaam hamara

Hasrat Azimabadi

Patna, Bihar, India

1727-1795
ab tujh se phirā ye dil-e-nākām hamārā
us kūche meñ kam hī rahegā kaam hamārā
hai saḳht mire darpa-e-jāñ terā ġham-e-hijr
jānāñ se kahe jā koī paiġhām hamārā
jāgīr meñ hai ġhair kī vo bosa-e-lab go
qaa.em rahe ye mansab-e-dushnām hamārā
hone nahīñ paate ye mire dīda-e-tar ḳhushk
daulat se tirī tar hai sadā jaam hamārā
do din meñ kisī kaam kā rahne kā nahīñ tū
kuchh tujh se nikal le kabhī to kaam hamārā
ik roz milā ālam-e-mastī meñ jo ham se
tanhā but-e-badmast mai-āshām hamārā
shamshīr alam kar ke lagā kahne rakhūñ Thor
badnām tū kartā phire hai naam hamārā
ayyām ke har zikr se aur fikr se fāriġh
yā ishq hai vird-e-sahar-o-shām hamārā
hotā na farebanda-e-dil kaash ke 'hasrat'
āġhāz meñ ye ishq-e-bad-anjām hamārā
Top Urdushayar.com