Hasrat Azimabadi

ya ilahi mera dildar salamat bashad

Hasrat Azimabadi

Patna, Bihar, India

1727-1795
yā ilāhī mirā dildār salāmat bāshad
vo valī nemat-e-dīdār salāmat bāshad
nek-o-bad se hai mirī ḳhātir-e-nāshād āzād
ġham-gusār apnā ġham-e-yār salāmat bāshad
na rakhī dil meñ hamāre tama-e-ḳhām-e-visāl
rashk-e-aġhyār kā āzār salāmat bāshad
gar na de sharbat-e-unnāb mujhe vo lab-e-lāl
ishva-e-nargis-e-bīmār salāmat bāshad
ḳhāksāroñ kā koī go na hue pusht-panāh
sar pe vo sāya-e-dīvār salāmat bāshad
us sag-e-kū kī nahīñ kuchh mujhe muddat se ḳhabar
vo mirā yār-e-vafādār salāmat bāshad
qatl-e-āshiq ke ta.iiñ go hove yak shahr gavāh
vo tirā naaz se inkār salāmat bāshad
mard-e-haq kā rahe duniyā meñ alam-e-nām buland
nahīñ mansūr agar daar salāmat bāshad
yaar kī mehr-o-muravvat pe na rakh dil 'hasrat'
ye tirā ishq kā iz.hār salāmat bāshad
Top Urdushayar.com