Hasrat Azimabadi

phiri si dekhta hun is chaman ki kuchh hawa bulbul

Hasrat Azimabadi

Patna, Bihar, India

1727-1795
phirī sī dekhtā huuñ is chaman kī kuchh havā bulbul
tujhe fursat hai jab tak āshiyāñ yaañ se uThā bulbul
tū āshiq hai vafā terā hunar hai ishq meñ varna
mirā gul be-vafā hai kyā ise qadr-e-vafā bulbul
dar-e-rahmat ḳhudā kā baaz hai dil apnā taaza rakh
qafas meñ hasrat-e-gul se mat itnā phaḌphaḌā bulbul
tujhe ai bāġhbāñ ik musht-e-par se kyā adāvat hai
bahār āḳhir hai do din meñ kujā gul phir kujā bulbul
ḳhizān-e-shūm ye gulshan ke haq meñ kyā qayāmat hai
ki is ke aate hī be-barg ho gul be-navā bulbul
dil āsūda na paayā kyā ḳhizāñ aur kyā bahār is ko
mohabbat meñ rakhe hai turfa dard-e-be-davā bulbul
bharā hai ne.amat-e-alvāñ se gul kā ḳhvān go 'hasrat'
kare har sub.h uTh kar ḳhūn-e-dil se nāshtā bulbul
Top Urdushayar.com