Hasrat Azimabadi

na chhuTa hath se yak lahza gareban mera

Hasrat Azimabadi

Patna, Bihar, India

1727-1795
na chhuTā haath se yak lahza garebāñ merā
chashm-e-tar hī pe rahā gosha-e-dāmāñ merā
jis taraf guzre kare rū-e-zamīñ ko gulzār
sair-e-gulshan se phire jab gul-e-ḳhandāñ merā
kheleñ aapas meñ parī-chehra jahāñ zulfeñ khol
kaun pūchhe hai vahāñ hāl-e-pareshāñ merā
baḳht haiñ shor ye apne hī ki vo naushīñ lab
auroñ kā chashma-e-haivāñ hai namak-dāñ merā
auroñ kī āñkhoñ ko dekhūñ huuñ maiñ dīdār-nasīb
banā rone ko yahī dīda-e-giryāñ merā
duur us lab se jo guzre hai dil-e-pur-ḳhūñ par
jaane merā hī jigar aur ye dandāñ merā
be-ajal martā rahā ishq meñ us ke umr bhar
kahūñ kis muñh pe maiñ 'hasrat' vo hai jānāñ merā
Top Urdushayar.com