Hasrat Azimabadi

kare aashiq pe wo bedad jitna us ka ji chahe

Hasrat Azimabadi

Patna, Bihar, India

1727-1795
kare āshiq pe vo bedād jitnā us kā jī chāhe
rakhe dil ko mire nāshād jitnā us kā jī chāhe
hameñ bhī sabr ḳhātir-ḳhvāh dād-e-haq hai ulfat meñ
vo de jaur o jafā kī daad jitnā us kā jī chāhe
ye mazlūm-e-mohabbat dād-ras hargiz na pāvegā
kare dil-dād aur fariyād jitnā us kā jī chāhe
adam hai aur vajūd us musht-e-par kā bhī masāvī sā
sitam ham par kare sayyād jitnā us kā jī chāhe
balā-e-nā-gahāñ girya giraftārī nahīñ ġhāfil
vo ho ġham se mire āzād jitnā us kā jī chāhe
nahīñ hai sarnavisht us kī lab-e-jāñ-baḳhsh-shīrīñ kī
kare jāñ-kandanī farhād jitnā us kā jī chāhe
hameñ 'hasrat' farāmoshī bhī us kī yādgārī hai
kare go ham ko kam-tar yaad jitnā us kā jī chāhe
Top Urdushayar.com