siina to DhūñD liyā muttasil apnā ham ne
nahīñ mālūm diyā kis ko dil apnā ham ne
ahd kyā kar ke tire dar se uThe the qismat
phir dikhāyā tujhe rū-e-ḳhajil apnā ham ne
merī ālūdgiyoñ se na kar ikrāh ai shaiḳh
kuchh banāyā to nahīñ āb-o-gil apnā ham ne
saḳht kāfir kā dil afsos na sharmāyā kabhī
puujā juuñ but to bahut sañg-dil apnā ham ne
paanī pahuñchā sake jab tak mirī chashm-e-namnāk
jal bujhā paayā dil-e-mushta.il apnā ham ne
baad sau ranjish-e-bejā ke na paayā ba-ġhalat
na pashīmān tujhe munfa.il apnā ham ne
dar ġharībī na thā kuchh aur mayassar 'hasrat'
ishq kī nazr kiyā diin o dil apnā ham ne